Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Meri Dastan-e-Hasrat Wo
Meri Dastan-e-Hasrat Wo Suna Suna K Roye,
Mere Azmane Wale Mujhe Azma K Roye.
Koi Aisa Ahl-e-Dil Ho K Fasana-e-Muhabat,
Main Use Suna K Royon Wo Mujhe Suna K Roye.
Meri Arzoo Ki Dunya, Dil-e-Natwan Ki Hasrat,
Jise Kho K Aaj Shadman Thy, Use Aaj Paa K Roye.
Teri Bewafai Per, Teri Kaj Adaon Per,
Kabhi Ser Jhuka K Roye, Kabhi Moun Chupa K Roye.
Jo Sunyi Anjman Main Shub Ghum Ki Aap Beeti.
Kayi Roo K Muskare, Kayi Muskara K Roye.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Jo Beeti Hai Use Dhohrane Me
Jo Beeti Hai Use Dhohrane Me Kuch Waqt Lage Ga,
Is Ghum Ko Ek Yaad Bnane Me Kuch Waqt Lage Ha.
Neend To Ane Ko Thi Pr Dil Pichle Qisse Le Betha,
Ab Khud Ko Be-Waqt Sulane Me Kuch Waqt Lage Ga.
Akhir Humein Bhi Loat Kr Ek Din Ghar Jana Hai,
Layken Itni Door Se Ane Me Kuch Waqt To Lage Ga.
Itni Jaldi Kyun Hai Sagar Tum Ko Wapis Jane Ki,
Kaam Yeh Dunya K Nibtane Me Kuch Waqt To Lage Ga.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Suna Ho Ga Bohat Tum ne
Suna Ho Ga Bohat Tum ne
Kahin Aankhon Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon Ki Shabnam Ka ,
Parha Ho Ga Bohat Tum Ne
Kahin Lehje Ki Barish Ka
Kahin Sagar K Aansuon Ka ,
Magar Tum Ne Kabhi Humdam
Kahin Daikhy ? Kahin Parkhy
Kisi Tahreer K Aansu ?
Mujhe Teri Judaie Ne
Yahi Mairaaj Bakhshi Hai
Keh " Main Jo Lafz Likhta Hoon !
Woh Sary Lafz Roty Hain
Keh " Main Jo Harf Bunta Hoon
Woh Sary Bain Karty Hain ,
Mere Sang Es Judae Main
Mere Alfaz Marty Hain
Sabhi Tareef Karty Hain
Meri Tahreer Ki Lekin ,
Kabhi Koi Nahin Sunta
Mere Alfaz Ki Siskiyan
Falak Bhi Jo Hila Daaly
Mere Lafzon Main Hain Shamil
Usi Taseer K Aansu !
Kabhi Daikho Mere Humdam
Meri Tahreer K Aansu !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tooti hai meri neend magar
Tooti hai meri neend magar'
tum ko iss se kiya
Bajte rehein havaoon se der'
tum ko iss se keya
Tum mauj mauj misle sabaa ghoomte raho
Kat jaein meri soch ke per'
tum ko iss se keya
Auroon ka haath thamo' inhe raasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi kher tum ko iss se keya
Tum ne to thak ke dasht mein kheme laga liye
Tanha kate kisi ka safar' tum ko iss se keya
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tum Nay Girtay Howay Patton Ko Tu Dekha
Tum Nay Girtay Howay Patton Ko Tu Dekha Ho Ga,
Apni Her "SAANS" Wo TEHNI Pay Ganwa Detay Hain,
Kiya Khoob Sajatay Hain Baharon Mein Shajar Ko,
Karri Dhoop Mein "APNA Aap JALA" Detay Hain,
Kitnay BE-REHAM Shajer Hain,
Naey Patton Ki Khatir.
Puranay Patton Ki Wafaon Ko Bhula Detay Hn....!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Suna Ho Ga Bohat Tum ne
Suna Ho Ga Bohat Tum ne
Kahin Aankhon Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon Ki Shabnam Ka ,
Parha Ho Ga Bohat Tum Ne
Kahin Lehje Ki Barish Ka
Kahin Sagar K Aansuon Ka ,
Magar Tum Ne Kabhi Humdam
Kahin Daikhy ? Kahin Parkhy
Kisi Tahreer K Aansu ?
Mujhe Teri Judaie Ne
Yahi Mairaaj Bakhshi Hai
Keh " Main Jo Lafz Likhta Hoon !
Woh Sary Lafz Roty Hain
Keh " Main Jo Harf Bunta Hoon
Woh Sary Bain Karty Hain ,
Mere Sang Es Judae Main
Mere Alfaz Marty Hain
Sabhi Tareef Karty Hain
Meri Tahreer Ki Lekin ,
Kabhi Koi Nahin Sunta
Mere Alfaz Ki Siskiyan
Falak Bhi Jo Hila Daaly
Mere Lafzon Main Hain Shamil
Usi Taseer K Aansu !
Kabhi Daikho Mere Humdam
Meri Tahreer K Aansu !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tooti hai meri neend magar
Tooti hai meri neend magar'
tum ko iss se kiya
Bajte rehein havaoon se der'
tum ko iss se keya
Tum mauj mauj misle sabaa ghoomte raho
Kat jaein meri soch ke per'
tum ko iss se keya
Auroon ka haath thamo' inhe raasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi kher tum ko iss se keya
Tum ne to thak ke dasht mein kheme laga liye
Tanha kate kisi ka safar' tum ko iss se keya
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: