Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Kami
Log kehty hen kisi Ek k Chaly Jany se Zindagi Ruk nahi Jati,
Lekin,,
Ye koi nahi Janta k Lakhon k Mil jany se bhi Us Ek ki Kami Puri nahi hoti..!
4U
By:
Naghma Khan
Send To Mobile
-
Juda Hen
(Ghazal)
Bichar ker Mily hen Magar phir bhi Juda hen,
Wo Palkon pe Roky hai Magar Aansoo rawan hen,
Do Jism to Ek hen magar ab Sansen Juda hen,
Wo Lafzon se to Apny hen Magar Qismat me kahan hen,
Wo Kehty hen, Teri Zindagi hen Hum Magar Ghalib,
Wo Zindagi hen to phir Zindagi me Kahan hen...!!
By:
Naghma Khan
Send To Mobile
-
Talash
Mujhy Zindagi me Qadam qadam per Teri Raza ki Talash hai,,
Tere Ishq me Aye Mere Khuda Mujhy Inteha ki Talash hai,,
Me Gunahon me hun Ghira hua, Me Zameen per hun gira hua,,
Jo mujhy Gunah se Nijaat de, Mujhy Us Dua ki Talash hai,,
Me ny Jo kiya Wo Bura kiya, Me ny Khud ko Khud hi Tabah kiya,,
Jo Tujh ko Pasand ho Mere Khuda, Mujhy Us Ada ki Talash hai,,
Tere Dar pe hi Mera Sar Jhuky, Mujhy aur Kuch nahi Chahiye,,
Mujhy Sab se ker de jo Be'Niyaz, Mujhy Us Ana ki Talash hai...!
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Wo Yun Hi To Ghar Se Chalay Nahi
** HAZRAT IMAM HUSSAIN **
Koi Baat Aisi Zarur thi,
Jo Wo Is Safar se Talay nahi..
Unhen Pesh-o-Past ki Khabar thi sab,
Wo Yun hi to Ghar se Chalay nahi..
Wo Jo Karbala ki Zameen hai,
Wo Sadaqaton ki Ameen hai..
Hen Gawah Tere Sitam-Giran,
Wahan Sar Katy hen' Jhuky nahi..
Wo Karakti Dhoop' Wo Tashnigi,
Wo Bilakny Walon ki Be-Basi..
Magar Aisa Sabar k Us Ghari,
Kisi Lab pe Shikwe Gily nahi..
Jo Shaheed ho k Amar Huwe,
Wo Sadaqaton ki Khabar Huwe..
Wo to Ista'ara hai Mout ka,
Wo Hayat hen' Wo Maray nahi..
Koi Baat Aisi Zarur thi,
Jo Wo Is Safar se Talay nahi..
Unhen Pesh-o-Past ki Khabar thi sab,
Wo Yun hi to Ghar se Chalay nahi...!
By:
Rabia Naz
Send To Mobile
-
Duniya k Aye Musafir
Duniya k Aye Musafir,
Manzil Teri Qabar hai..
Tu ker raha hai jo bhi,
Do Din ka ye Safar hai..
Jab se bani hai Duniya,
Lakhon Karoron aaye..
Baqi raha na Koi,
Mitti me sab Samaye..
Is Baat ko na Bhulo,
Sab ka Yehi Hashar hai..
Do Ghaz Zameen ka Tukra,
Chota sa Tera Ghar hai..
Aankhon se Tu ny Apni,
Kitny Janazy Dekhy..
Hathon se Tu ny Apny,
Dafnaye Kitny Murday..
Anjaam se Tu Apny,
Kyun Itna Be-Khabar hai..
Duniya k Aye Musafir,
Manzil Teri Qabar hai..!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Kahan Jaty
Na Milty Gham to Barbadi k Afsany kahan jaty,,
Agar Duniya Chaman hoti to Veerany kahan jaty,,
Chalo Acha huwa Apno me koi Ghair to Nikla,,
Sabhi hoty yahan Apny to Begany kahan jaty,,
Tumhi ny Gham ki Dolat di bara Ehsan kiya Warna,,
Zamany bhar k agay Hath phelany kahan jaty,,
Usi ki Berukhi ny Laaj rakh li hai Me'Khany ki,,
Wo Aankhon se Pila dety to Pemany kahan jaty,,
Wo to Acha huwa k Kaam aagai Deewangi Apni,,
Nahi to Hum Zamany bhar ko Samjhany kahan jaty..!!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
Submit Your Comments: