Best Collection of New Mazahiya Shayari at Funny SMS
Resource for
Mazahiya Shayari, Urdu Poems. Continue for our current list of the Mazahiya Shayari , Urdu Poems. We're collecting some of the
funniest poems from poets around the globe with our aim, to bring more laughter to the world. A free, online
funny poetry resource providing the famous funny poems by the World's most popular Poets. Whether your search is for Classic
Funny Poetry /
Mazahiya Shairy or Modern Funny poetry you will find the funny poetry of your choice on this Funny Poetry section. You can Also
submit Mazahiya Shairy here.
Latest Mazahiya Shayari:
-
Koocha-e-Yaar Me Jo Main
Koocha-e-Yaar Me Jo Main Ne Jabeen Saai Ki,
Us k Abba Ne Meri Khoob Pazeeraai Ki,
Woh Bhari Bazm Me Kehti Hai Mujhe Uncle Ji,
Diplomacy Hai Yeh Kesi Meri Hamsaai Ki,
Raat Hujrey Me Ilaaqay Ki Police Ghus Aai,
Baat To Such Hai Magar Baat Hai Ruswaai Ki,
Main Jise Heer Samajhta Tha Woh Ranjha Nikli,
Baat Neeyat Ki Nahi Baat Hai Beenaai Ki.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Tum Khushbu Ki Bahaar
Tum Pholon Ka Haar,
Tum Khushbu Ki Bahaar,
Tum Eid Ka Tehwaar,
Tum Roshni Ki Ho Jhankaar,
Tum Ho Gul-O-Gulzar,
Uff Kitna Jhoot Bol Kar Hum Hogaye Gunehgaar,
Touba Tauba Astaghfaar.:-)
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Roya Hon Teri Yaad Me Din Raat
Roya Hon Teri Yaad Me Din Raat Musalsal,
Aise Kabhi Hoti Nahi Barsaat Musalsal.
Kaante Ki Tarha Hon Main Raqeebo'n ki Nazar Me,
Rehte Hain Meri Ghaat Me Do Chaar Musalsal.
Chehere Ko Naye Dhang Se Sajate Hain Woh Har Roz,
Bante Hain Meri Maut K Alaat Musalsal.
Har Roz Kisi Shehar Me Hote Hain Dhamake,
Rehti Hai Mere Dais Me Shab-Baraat Musalsal.
Har Roz Woh Milte Hain Naye Roop Me Mukh Ko,
Parte Hain Meri Sehat Pe Asraat Musalsal.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Apni Dolat Or Ghairo'n k Uraney
Apni Dolat Or Ghairo'n k Uraney k Liye,
Koi Khaney K Liye, Koi Kamaney K Liye.
Aap He Ki Khoo Hai Bilkul Aap k Kutte Me Bhi,
Be-Tahasha Dorta Hai Kaat Khane K Liye.
Kia Mohabbat Kia Murrawat Kesi Chahat Kis ka Pyar,
Sab Yeh Baten Hain Hume Ullu Banane k Liye.
Maine Aashiq Ban k Yeh Shoq Unka Poora Kar Dia,
Chahye Tha Unko Ik Bandar Nachane k Liye.
By:
AsiM
Send To Mobile
Submit Your Comments: