Best Collection of New Islamic SMS at Funny SMS
Best collection of
islamic sms and Al-Quran / Al-Hadith(Hadees) of the Day / text messages in roman urdu & english. Yes, you can also see good collection of sms messages related to Islam. Send these
cute Islamic sms messages to your
Muslim friends and brothers. Cool collection of Ramazan sms,
Ramadan month sms. You can also
submit islamic sms here.
Latest Islamic SMS:
-
Dua Ka Sahi Waqt
Aadmi : IBADAT kerny ka Behtreen Din konsa hai??
Buzurg : Moat se Ek Din pehly.
Aadmi : Moat ka to Koi Waqt nahi??
.
Buzurg : To Zindagi ka Her Din Aakhri Samajho..
Jumma Mubarak
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Hadees Shareef
Hadees Nabvi (S.A.W.W) Hai:
"Tum Jab Paani per se Guzro (Ya Pull se) to Kasrat se "Surah Kosar" ka Wird kiya kero.
Tumhari Nazar Jitny Paani per pary gi Us ka Ek ek Qatra aap k liye Maghfirat ki Dua kery ga."
Agar Aap ye Sab ko Batao gy to
Ye Aap k liye Sadqa-e-Jariya hai.
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Ik Arz kerun Aye Mola
Ik Arz kerun Aye Mola,
Ik Roz Mujhy Mar jana hai..
Ye Duniya Ik Saraaye hai,
Aakhir Mujh ko Ghar jana hai..
Per jab tak Jaan Salamat hai,
Ho Wird-e-Zuban SubhanAllah..
Her Saans pukary Laa-Ilaaha,
Her Dharkan Boly Il-lAllah..
Me Kamtar hun, Ik Zarra hun,
Tu Ar'fa hai, Tu Aalaa hai..
Sab Rang hen Teri Qudrat k,
Her Cheez ko Husn me Dhala hai..
Jo Dharkan dharkan Japti hai,
Wo Tere Naam ki Mala hai..
Jo Aangan aangan Utra hai,
Tera Pur Noor Ujala hai..!!
By:
Naghma Khan
Send To Mobile
-
Tabdeeli Kainat ka Mamool hai
Allah Apny Bandon se Farmata hai..
"Aye Banday!
Jo huwa, Wo Acha huwa.
Jo ho raha hai,
Acha ho raha hai.
Jo hoga Wo bhi Acha ho ga.
Tera kiya gaya jo Tu Rota hai,
Tu kiya laya tha jo tu ny Kho diya.
Jo liya yahin se liya,
Jo diya yahin per diya,
Jo Aaj Tera hai pehly kisi aur ka tha,
Aur
Kal kisi aur ka hoga.
Tabdeeli Kainat ka Mamool hai.
Bas Tu Wo Jama ker jo Tu Sath le jany wala hai.
Yani,
NAIK AMAAL"...!!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Azan Ka Ehtiram
** Azan Ka Ehttiram **
"Agar Tum Quran Pak ki Tilawat ker rahy ho
Aur
Azan ki Awaz aaye to
Quran Pak ko Band ker k Azan suno,
Aur Us k Kalmat ka Jawab do".
Aaj kal Hum TV tak band nahi kerty.
Don't Stop this Msg.
Iska Ajar aap ko Aur Mujhy Tab tak Milta rahy ga
Jab tak log isy Parh ker Is Per Amal kerty Rahen gy..!
JazakAllah
Jumma Mubarak
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Bhalaai
**(Al-Quran)**
"Aye Nabi(S.A.W.W) Jab poochen
Aap se Mere Bandy
Mere Bary me,
(To Aap keh den)
K Me
Bohat hi Qareeb hun,
(Jawab deta hun)
Her Pukarny Waly ki Pukar ka,
Jab Kabhi Wo Mujhy Pukary,
Qubool kerta hun (Us ki Dua ko),
To Chahiye k
Mera Hukum Many aur
Yaqeen rakhen Mujh per,
Ye hi Un ki Bhalaai ka
Baa'is Hai"...!
(Al-Baqara
Ayat#186)
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Kiya Aap Janty hen
Kiya Aap Janty hen k
"Good Morning" kiya hai??
Ye Zamana e Jahiliyat ka Salam hai.
Nabi (S.A.W.W) k paas aa ker ek admi ny kaha :
"Subha Bakhair"
Yani (Good Morning).
To Aap "S.A.W.W ny Farmaya :
"Hamara Salam Tumhary Salam se Behtar hai,
Aur Wo Ahl e Jannat ka Salam hai,
"Assalam o Alaikum".
(Seerat'un Nabi: Jild No.2,
Page No.272).
Aap Khud bhi
Good Morning se Bachen aur
Friends ko bhi ye sms send ker k
Bachny ko kahen.
Next Time No to
Good Morning,
Just
Assalam o Alikum..!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Check UR-Self
Check UR-Self
How Intelligent U R??
Q1- Kis Sahabi ka Urs Puri Duniya me Manaya jata hai??
Q2- Hamary Nabi(S.A.A.W) k Zamany k sab se behtreen Qawwal kon thy??
Q3- Sahaba Kis k Mazar per ja ker Dua mangty thy??
Q4- 11, 12 ki Niyaz Kitny Sahaba kerty thy??
Q5- Kis Sahabi ny apny Ghar me Milaad keraai??
Q6- "Al-madad Ya Rasulullah" or "Ya Ali Madad" kis Sahabi ny Nara lagaya ya kaha??
Q7- 12 Rabi ul Awwal ko Sahaba kis Color ka Jhanda lehraty thy??
Q8- 12 Rabi ul Awwal ka Youm-e-Wiladat kis Hadis ya Qoul e Sahaba se Sabit hai??
Nahi Pata??
Hum se Suniye:
Deen ka Ilm Hasil kerna her Momin per Wajib hai.
Quran Hidayat hai, Isay Tarjumy k sath parhye aur Ahadees ka Mutalla Khud kijiye.
Her Momin Apny Amal ka Khud Zimmedar hai..
"Deen Me Aqli Gadda Khatarnak Hai"
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
Submit Your Comments: