Best Collection of New Broken Heart SMS at Funny SMS
New
Broken Heart Sms to send to you sad friends / love. Broken heart sms messages for those who just had a breakup; We have break up sms messages for those who have a break up from love and suffering souls, and for those who have been cheated and got their heart broken, we have compiled a list of
Broken Heart text messages and broken heart text. If you have poetic taste you may be interested in
broken heart quotes and poems.
New Hindi Broken Heart Sad Poems for lovers and Urdu Shairy SMS in English. Heart Break SMS English and Broken Heart Text Messages in Urdu will help heal your hearts. All people having Broken Heart can express their feelings with our nice collection of Broken Heart SMS, Broken Heart Text Messages and
Broken Heart Poetry.
Latest Broken Heart SMS:
-
Mujh Ko Ruswa Sar-e-Mehfil
Mujh Ko Ruswa Sar-e-Mehfil
To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Ankhon
Me He Reh Jaya Kare.
Aye Hawa Maine To Bas
Uska Pata Pocha Tha,
Ab Kahaani To Na Har
Baat Ki Ban Jaya Kare.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Meri Neend Uraati Thi Bohat
Khuwaab Me Aa Ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bohat,
Har Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bohat,
Chor He Dena Para Ghabra kar Us k Shehar Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bohat,
Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bohat,
Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bohat,
Chahti Thi Sirf Meri He Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bohat,
Din To Kat Jata Tha Mera Doston K Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bohat.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi
Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-e-Gair Se Sitamgar Ko Fursat Kab Thi,
Hum Thy Mohabbat Mein Lut Jane Ke Qaayil,
Hamari Khatir Kisi Ko Chornay Ki Us Mein Himmat Kab Thi,
Wo Tu Waqt Guzarnay Ke Liye Karta Tha Pyar Ki Baatain,
Warna Meri Khatir Us Ke Dil Mein Chahat Kab Thi,
Bohut Roka Phir Bhi Nikal Aaye Kambakht Aansu,
Warna Bazm-e-Yaar Mein Ansu Bahanay Ki Ijazat Kab Thi.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Apna Hunaar Dikhaya
Logo Ney Apna Hunaar Dikhaya Bhi Bohat Hain
Ja Ja K Usay Manaya Bhi Bohat Hai
Such Pocho To Dil Koo Acha Bohat Lagta Hay
Wo Shaks Jis Ne Dil Dukhaya Bhi Bohat Hay.
By:
AsiM
Send To Mobile
Submit Your Comments: