Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS

Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers. This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.

Latest Urdu Poetry SMS:

  • Kabhi Un ka Naam Lena Kabhi Un Ki Baat
    Kabhi Un ka Naam Lena
    Kabhi Un Ki Baat Kerna
    Mera Zauq Un Ki Chahat
    Mera Shauq Un Pe Marna
    Kabhi Chalte Chalte Thamna
    Aur Tham k Beth Jana
    Kabhi Larkhara k Girna
    Aur Gir K Phir Sambhalna
    Kabhi Raat Raat Rona
    Kabhi Din Charhey Sisakna
    Kabhi Darya Darya Rehna
    Kabhi Boondh Ko Tarasna
    Hamesha Koi Wasta Hy Apna
    YEHI ZINDAGI HY APNI
    YEHI RASTA HY APNA ...!!!

    -SOHAIL


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Jagti raat k Honton pe Fasaney Jesay,
    Jagti raat k Honton pe Fasaney Jesay,

    Ek pal mein simat aaye hon zamaney jesay,

    Aqal kehti hai bhula do jo nahi mill paaya,

    Dil wo pagal k koi baat na maaney jesay,

    Raastey mein wohi manzar hain puraaney ab tak,

    Bus kami hai to nahi log puraaney jesay,

    Aa'ina dekh k ehsas yehi hota hai,

    Ley gaya waqt
    ho umron k khazaaney jesay,

    Raat ki aankh se tapka hua aansu WaS?,

    Makhmali Ghaas pe Moti k Hon Daaney Jesay.


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Kahin jaey usay meri Duaen yaad karti ha
    Kahin jaey usay meri Duaen yaad karti hain
    Usay kehna usay meri Wafaen yaad krti hain

    Main aksar Aainay k samnay Bechain rehti hun
    Kisi ne khat likha hai, ADAEN YAAD KRTI HAIN

    Usay kehna Khizaen aa gai hain ab to lot aaey
    Usay kehna December ki Wawaen yaad krti hain

    Usay kehna k Aankhon pe Ghani badli si Chhaai hai
    Jinhain dil pe barasna hai, Ghataen yaad krti hain,...


  By: musarat   Send To Mobile
  • Meray Israar par aakhir, Bohat majboor
    Meray Israar par aakhir,
    Bohat majboor ho kar aaj,
    Mujhay apni nigahon ki,
    Udaasi sonp di us ne,
    Bohat be-bas bohat tanha,
    Bohat bikhri mohabbat ki,
    Haqeeqat khol di us ne,
    Khalish jo us k dil mein thi,
    Woh ab meri amaanat hai,
    Shikasta lehjay ki jitni thakhan thi,
    Bol di us ne,
    Meri khatir mujhay apni Mohabbat
    Keh nhi paya,
    Magar aaj apnay aansoun se,
    Mohabbat tol di us ne,,,


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile
  • Lut Ke Bhii Khush Huun Ke Ashkon Se Bhar
    Lut Ke Bhii Khush Huun Ke Ashkon Se Bharaa Hai Daaman
    Dekh Gaaratgare Dil Ye Bhii Khazaane Mere

    Aaj Ik Aur Baras Biit Gayaa Us Ke Bagair
    Jis Ke Hote Hue Hote The Zamaane Mere


  By: musarat   Send To Mobile
  • Kaash Auron Kii Tarah Main Bhii Kah Saka
    Kaash Auron Kii Tarah Main Bhii Kah Sakataa
    Baat Sun Lii Hai Merii Aaj Khudaa Ne Mere

    Tuu Hai Kis Haal Men Ai Zuudfaraamosh Mere
    Mujh Ko To Chhiin Liyaa Ahad-E-Vafaa Ne Mere

    Chaaraagar Yuun To Bahut Hain Magar Ai Jaan-E-’Faraz’
    Juz Tere Aur Koii Gam Na Jaane Mere


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile
  • Hatho me hoti hen lakiren hazar, kisi
    Hatho me hoti hen lakiren hazar,

    kisi me ghum to kisi me khushyon ki bahar,

    na jane wo kon c lakeer hy

    jisme khuda ne likh diya aap jaise dost ka pyar.


  By: musarat   Send To Mobile
Urdu Poetry SMS By Page: << 123124125126127128 129130131132133 >>

Submit Your Comments: