Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Independence Day at Funny SMS

Independence Day SMS messages!. 14th august Pakistan Independence Day and 15th august Indian Independence Day and different days in different countries. Dont hesitate / forget to send independence day sms greetings / Freedom Day SMS to your friends & family. You can also Submit Independence Day SMS here.

Latest Independence Day:

  • Arzu e Kashmir
    Dil Josh Me La, Feryad Na ker..

    Taseer Dikha, Taqreer Na Ker..

    Ya Taqat Se Kashmeer Chhura,,

    Ya Arzu e Kashmir Na Ker..!


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Jurm
    Hai Jurm Agar Watan Ki Mitti Se Mohabbat,,

    Ye Jurm Sada Mere Hisabon Me Rahy Ga..

    Happy Independence Day..


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Ye Sab Ka Watan Hai
    Ye Nafrat Buri Hai, Na Palo Isy..

    Dilon Me Khalish Hai Nikalo Isy..

    Na Sindhi, Balochi, Punjabi, Pathan,,

    Ye Sab Ka Watan Hai Bacha Lo Isy..!

    Happy Independence Day..


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Hamara Gulistan
    Aasan Nahi Tha Ye Gulistan Banana,

    Sehra Me Darya Khench Lana,

    Khoon e Jigar Se Sincha Hai Her Khosha,

    To Phir Chaman Me Bahar Aai Hai..

    Ye Heryali Chaar-Su Dekh Rahy Ho,

    Iski Hifazat Kerni Hai Tumko,

    Himmat o Hosly Ki Tasveer Banna Hai Tumko,

    Gidh Taak Lagaye Bethy Hen Zakhm Lagany Ko,

    Tumhara Chaman Jalany Ko..

    Suno Dosto..!

    Be Khabar Mat Hona,

    Apni Raah Kabhi Na Chorna,

    Yahan Tak Hum Is Karwan Ko Laye Hen,

    Aagy Tumko Le Ker Jana Hai,

    Manzil Tak Pohnchana Hai..!

    Happy Independence Day..


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Aazadi
    Suno..!

    Aazadi Ka Mahina Hai..

    Apni Yadon Se Aazad Kerdo Na..!

    Happy Independence Day..


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Pakistan Ka Ik Maqsad Tha
    Yaad Kero Wo Waqt K Jab Hum

    Aankhon Me Kuch Khuwab Saja kr,

    Khali Hath,Nangy Pair Ghar Se Chaly Thy,

    Fikr o Feham K Baab Me Jis Dam

    Koi Bhi Pechan Nahi Thi,

    Andeshy, Khadshat Nahi Thy,

    Aur Madoom Imkan Nahi Tha,

    Qoul o Amal Ki Yakjaai Ka,

    Zara Bhi Fukdan Nahi Tha,

    Apny Hadaf, Apny Masad Se

    Koi Bhi Anjan Nahi Tha.

    Dunya To Taj Ker Aaye Thy,

    Dunya Ka Arman Nahi Tha.

    Aaj Bata Dena Aasan Hai,

    Jo Itna Aasan Nahi Tha.

    Pakistan Ka Ik Maqsad Tha,

    Maqsad Pakistan Nahi Tha..!

    Think About It..

    Happy Independence Day..


  By: Haya Ali   In: Independence Day  Send To Mobile
  • 71 Saal Pehly
    71 Saal Pehly Ek Din Aisa Bhi Aya Tha.

    Jab Ik Sooraj Nikalny Per

    Chamakti Dhoop Pheli Thi

    To Manzar Jagmagaya Tha.

    Agarcha Me Ny Wo Manjazr

    Ba-Chashm e Khud Nahi Dekha,

    Magar Jab Yaad Kerta Hun

    To Sansen Gungunati Hen.

    Kai Sadyon Se Sehra Me

    Bikharti Rait Ki Surat,

    Karodon Log Thy Jinka

    Na Koi Naam Leta Tha,

    Na Kuch Pehchan Baki Thi,

    Her Ik Rasty Me Wehshat Thi,

    Sabhi Aankhon Me Hasrat Thi.

    Na Aaba' Si Hunar Mandi,

    Na Agli Shaan Baki Thi.

    Khula Sar Per Jo Us Elaan Ka

    Khushboo Bhara Saya,

    Hilali Sabz Parcham Ka

    Wo THanda Dil Ruba Saya.

    To Unki Jaan Me Jaan Aai.

    Ragon Me Roshni Dori,

    Dahan Me Phir Zuban Aai.

    71 Saal Pehly Ka Wo ik Ehsan Mat Bhulo,

    Khuda Ki Khas Rehmat Hai,

    Ye "PAKISTAN" Mat Bhulo..!

    (Happy Independence Day)


  By: Maha Abro   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Guman
    Waqt e Hijrat Guman Tha K

    Wahan Musalman Hi Musalman Hongay..

    Kiya Khabar Thi K Yahan

    Sindhi, Balochi, Punjabi, Pathan Hongay..

    Happy Independence Day..


  By: Maha Abro   In: Independence Day  Send To Mobile
  • Defence Day
    Mili Nahi Hai Hamen Arz-e-Pak Tohfy Me,,

    Jo Lakhon Deep Bujhy Hen To Ye Charagh Jala..

    Defence Day Pakistan..


  By: Husnain Nawaz   In: Independence Day  Send To Mobile
  • 6th September 1965
    Chalta Hai Khanjar To Chaly Meri Ragon Pr,,

    Khudi Bech K Apni Me Kabhi Jhuk Nahi Sakta,,

    Mitny Ko To Ye Dunya Bhi Mit Sakti Hai Lekin,,

    Tareekh K Oraaq Se Me Mit Nahi Sakta..

    Pak Foj Zindabaad..
    Pakistan Zindabaad..
    6th September 1965


  By: Husnain Nawaz   In: Independence Day  Send To Mobile
Independence Day By Page:  1 23456 >>

Submit Your Comments: