Celebrating Iqbal Day - 9 November |
Post Reply
|
Page <123> |
| Author | |
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:54am |
|
Assalaam Alaikum Dosoton
Jesa ke aap sub ko pata hai aaj 9th Nov hai.... Aaj ke din Mashriq ki sar-zameen ne hume ek buland -o- bala fikar o nazar rakhne wala ek azeem mufaqir or shayer diya tha.... Jee han mai Dr. Muhammad Allama Iqbal ka hi zikar kar raha hon.... Aaj hum unki Birthday celebrate kar rahe hen.... Aap sub se bhi guzarish hai ke aap bhi apni taraf se in azeem shayer ke liye jo ho sake zaror share kijye Shukriya |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:54am |
|
jinheiN maiN DhuuNDh'taa thaa aasmaanoN meiN zamino'N meiN
vo nikale mere zulmat-e-Khaanaa-e-dil ke makeeno'N meiN mahiine vasl ke ghaRiyooN ki suurat uRate jaate haiN magar ghaRi'yaaN juda'ee ki guzartii hai mahinooN meiN mujhe rokegaa tuu ai naaKhudaa kyaa garq hone se ki jin ko Duub'naa hai Duub jaate haiN safiinooN meiN jalaa sakatii hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafas un kii ilaahii kyaa chhupaa hotaa hai ahal-e-dil ke seeno'N meiN tamannaa dard-e-dil ki ho to kar Khidamat faqiirooN kii nahiN miltaa ye gauhar baadashaahooN ke KhaziinooN meiN muhabbat ke liye dil DhuuNDh ko_ii TuuTane vaalaa ye vo mai hai jise rakhate haiN naazuk aab_giinooN meiN buraa samajhuuN unheiN mujh se to aisaa ho nahiN saktaa ki maiN Khud bhii to huuN "Iqbal" apane nuktaachii'nooN meiN. |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:55am |
|
lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa mere Allaah buraaii se bachaanaa mujhako nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:55am |
|
Khudi ka sar_e nihaa.n LA' ILAHA IL"LALAH
khudi hay taig_e fusaa.n LA' ILAHA IL"LALAH ye dor apney Baraheem ki talash main hay sanam kadah hay jahaa.n LA' ILAHA IL"LALAH kiya hay tu nay mata_e mata_e ghuroor ka soda faraib_e sod_o zayaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH ye maal_o dolat_e duniya. ye rishta_o paiwand butaan_e weh'm_o gumaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH khirad hoi hay zamaa.n O makaa.n ki zannari! na hay zamaa.n, na makaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH ye naghma faz'l_e gull_o lala ka nahi paband bahaar ho k khizaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH agar chey butt hain jama'at ki aastinoo.n main mujhe hay hukm_e azaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:56am |
|
Sakhtiyan kerta hoon dil pay,Ghair say ghaafil hoon may
Haey kia achi kahee, zalim hoon may jaahil hoon may May jabhee tak thaa kay teri jalwa peeraey na thi Jo namood day haq say mith jata hay woh baatil hoon may Ilm kay dariya say niklay ghoota zaan gohaar baadast Why mehroomi! khaazaf cheenay laabay sahil hoon may hay meri zillat he koch meri shaaarafat ki dalil Jis ki ghaflat ko mulk rotay hain woh ghafil hoon may Bazmay haasti apni araish pay tu naaza na hoo Tu tuu aik tasveer hay mehfil ki aur mehfil hoon may Dhoondta phirta hoon aey Iqbal Apnay app ko App he goya musafeer app he maanzil hoon may .. |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:56am |
|
Aata hai yaad mujhko guzra hua zamana
woh baagh ki bahaaren woh sub ka chah-chahaanaa azaadiyaan kahaan wo ab apne ghonsale ki apani khushi se aanaa apani khushi se jaana lagti ho chot dil par, aata hai yaad jis dhum shabnam ke aansoon par kaliyon ka muskurana woh pyari pyaari surat, wo kaamini si murat abaad jis ke dhum se thaa mera aashiyanaa Allama Iqbal |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:57am |
|
خودی کو کر بلند اِتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے کہ تیرے رضا کیا ہے |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:57am |
|
Tanhaaiee
Tanhaaiee-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa? Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa? Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar Motee khush rung piyaaray piyaaray Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil! Qudrat teri hum nafs hay aey Dil! --Allama Iqbal- Baang-e-Dara |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:57am |
|
From Baal-e-Jibreel...
Kiyaa Ishq aik zindagi-e-Musta'ar kaa! Kiyaa Ishq paaeydaar say naa paaeydaar kaa! Woh ishq, jiss kee sham'a bujhaa day ajal kee phoonk Uss maiN mazaa nahiN tapish-O-intezaar kaa Meri bisaat kiya hay? tub-O-taab-e-yak naf's Sho'la say bay meh'l hay Ulajhna sharaar kaa Kar pehlay mujh ko zindagi-e-JawedaaN Ataa! Phir zoq-O-shoq dekh dil-e-bay qaraar kaa! KaaNTa woh day kay jiss kee khaTTak laa zawaal ho Yaa rabb woh dard jiss kee kassak laa zawaal ho. |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:58am |
|
This one is particularly one of my favorites too... The real and true definition of what Life actually is according to the CREATOR of life is beautifully depicted by The Poet of the east Sir. Muhammad Allama Iqbal in His book Baal-e-Jibreel
Zindagi Bar tar az andesha-e-sood-O-ziyaan hay Zindagi Hay kabhi Jaan aur kabhi tasleem-e-jaan hay Zindagi Tu issay Paimaana-e-Imroz-O-fardaa say naa naap Javedaan, Pehamm dawaan, Har damm jawaan hay Zindagi Apni dunyaa aap peda kar agar zindoun main hay Siir-e-Adam hay, zameer-e-kun fikaan hay Zindagi Zindagaani ki haqeeqat Koh-kunn kay dil say pooch Joo-e-sher-O-teesha-O-sang-e-giraan hay Zindagi Bandagi main ghatt kay reh jaati hay ik joo-e-kamm aab aur aazaadi main behr-e-bay karaan hay Zindagi Aashkaaraa hay yeh apni quwwat-e-taskheer say garchay ik mitti kay paikar main nihaan hay Zindagi Qulzum-e-Hasti say Ubhraa hay tu maanind-e-Hubaab Iss ziyaan khaanay main teraa imtehaan hay Zindagi. |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:58am |
|
Khaam hay jubb tukk tu hay mitti kaa aik an(m)baar tu
Pukhtaa ho jaaey tau hay shamsheer-e-bay zanhaar tu Ho sadaqat kay liyeh jiss dill main marnay ki tarrap Pehlay apnay paikar-e-khaaki main jaan paidaa karay Phoonk daalay yeh zameen-O-aasmaan paida karay Aur khaakistar say aap apna jahaan paida karay Zindagi ki quwwat-e-pinhaan ko kar day aashkaar Taa yeh chingaari farogh-e-javedaan paida karay Khaak-e-mashriq par chamak jaaey misaal-e-aaftaab Taa bidakhshaan phir wohi La'al-e-giraan paida karay Soe-e-girdoon naala-e-shabgeer kaa bhaijay safeer Raat kay taaroun main apnay raazdaan paida karay Yeh Gharri Mehshar kee hay tu arsa-e-mehshar main hay Paish kar ghaafil, Amal koie agar daftar main hay. |
|
![]() |
|
dapper
Moderator
Joined: 19-Nov-2007 Location: Pakistan Online Status: Offline Posts: 55 |
Quote Reply
Posted: 09-Nov-2009 at 7:59am |
|
Maan kaa Khuaab:
MaiN soee jo ik shab tau dekha yeh khuaab BaRRha aur jiss say meraa izteraab Yeh dekha kay maiN jaa rahi hooN kahiN Andhera hay aur rah milti nahiN Laraztaa thaa dar say mera baal baal Qadam ka thaa dehshat say uTThna muhaal Jo kuch hosla paa kay aagay baRRhi Tau dekha qataar ik laRRkouN ki thee Zamarrud sii poshaak pehnay huay Diye sub kay haathouN maiN jaltay huay Woh chup chaap thay aagay peechay rawaaN Khudaa jaanay jaanaa thaa unn ko kahaaN Issi soch maiN thee kay mera pis'r Mujhay iss jama'at maiN aaya nazar Woh peechay thaa aur taiz chaltaa naa thaa Diya uss kay haathouN maiN jaltaa naa thaa Kahaa maiN nay pehchaan kar meri jaaN Mujhay choRR kar aa gaye tum kahaaN? Judaaie maiN rehti hooN maiN bay qaraar Pirotii hooN roz ashkouN kay haar Na parwaa hamaari zara tum nay kee gaye choRR, acchi wafa tum nay kee Jo bacchay nay dekha mera pech-O-taab Diya uss nay moonh pher kar youN jawaab Rulaati hay tujh ko judaaie meri NahiN iss maiN kuch bhee bhalaaie meri Yeh keh kar woh kuch dair tukk chup rahaa Diyaa phir dikhaa kar yeh kehnay laggaa Samajhti hay tu ho gayaa kiyaa issay? Teray Aansoo'ouN nay bujhaayaa issay. |
|
![]() |
|
Post Reply
|
Page <123> |
|
| |
| Forum Jump | Forum Permissions ![]() You cannot post new topics in this forum You cannot reply to topics in this forum You cannot delete your posts in this forum You cannot edit your posts in this forum You cannot create polls in this forum You cannot vote in polls in this forum |